“Nanhay Haathon Mein Qalam” Aima Baig song about stop child labour and let the child explore the universe by getting education . The song is pinned by Imran Raza and composed by Sahir Ali Bagga.
Nanhay Haathon Mein Qalam Song – Aima Baig Song
Nanhay Haaton Mein Lyrics
Nanhay Haathon Mein Qalam Ho To Sayahi Na Rahe
Zulm Dekha Ho Kisi Ne Ye Gawahi Na Rehe
Roshnai Mein Dabo Kar Isse Ba-Ilm Karein
ILM Aur Amal Ke Mabain Judai Na Rahe
Mere Deekhe Hoye Khawaabon Ko Mile Gii Aankhein
Sabar Ko Pass Rakho Sabar Baree Kaam Ka Hai
Jabar Se Door Raho Jabar To Badnaam Ka Hai
Nanhay Haathon Mein Qalam Ho To Sayahi Na Rahe
Zulm Dekha Ho Kisi Ne Ye Gawahi Na Rehe
Dil Mein Insaan Ho To Insaan Ka Bhi Dil Hota Hai
Warna Hone Ko To Haiwaan Ka Bhi Dil Hota Hai
Darr Gaya Hoga Koi Aur Dara Dil To Nahi
Sab Hai Mumkin To Kaho Saare Muskil To Nahi
Nanhay Haathon Mein Qalam Ho To Sayahi Na Rahe
Zulm Dekha Ho Kisi Ne Ye Gawahi Na Rehe
Chand Pe Ja Ke Parhoon Ga Kah Zameen Kesi Hai
Zindagi Ke Liye Is Mein Nami Kesi Hai
Jo Paraha Hai Wo Parahaan Dena Se Acha Ho Ga
Ilm Ki Bat Bta Dena Se Acha Ho Ga
Nanhay Haathon Mein Qalam Ho To Sayahi Na Rahe
Zulm Dekha Ho Kisi Ne Ye Gawahi Na Rehe
Other songs of Aima Baig:
Aima Baig – Te Quiero Mucho Song
Ve Mahiya Song Lyrics – Ali Zafar Feat. Aima Baig